Jul 17, 2009

Khayal Meri Zeest Main

Mere Khwab,
Chamakte jhumkon,
Jhilmilate aanchalon se le kar,
Tere laaye gajron tak main jeete hain.

Aye meri jaan,
Main humara kal, apne aaj main samete hun.

Main un rah-dariyon se guzarti hun,
Jo humari khwab-gah ko jaati hain,
Woh silwatein barabar karti hun,
Jo humari karwaton se banti hain.

Aye meri jan,
Hum tere shaanon pay zindagi basar karte hain.

Bahar mere aangan ki zeenat bani rehti hai,
Khizan to bus,
Roothne manane k beech aati hai.
Hum muhabbat main sirshaar rahein,
Tou dhoop main barsaat chali aati hai.

Aye meri jaan,
Chal waqt ka pahiya tor kar, apne ghar ko chalte hain.



Written by Kulsoom Bano
July 17, 1:00 a.m.

0 comments: