Jul 21, 2010

Shukria........

-->
Mujhe zinda rehna ata hai, aur buhat ache se ata hai. Main muskurati bhi hun, hansti bhi, pasand ka khati, peeti aur pehanti bhi hun. Siyasat se le kar dhaniye podinay ki khareedari tak main barh charh kar hissa leti hun.
Magar main sirf zinda hun. Zinda rehne aur jeenay main farq hai.
Zindagi phir se mere muskurane per muskuraye to mere ander jeenay ka ehsaas jagay. Lekin, zindagi muskura nahi rahi han albatta hans rahi hai mujh per, ek bar nahi baar baar. Mujhe iss kay hansne per koi khaas aitraaz nahi kuon kay ab main kaafi dheet hochuki hun. Pehle mujhe zindagi kay yun hansne per rona aata tha, ab main muskura kar chehra palat leti hun.  
Kabhi kabhi lagta hai, main dukhon se guzar kar, guzar jaoon gi.
Bahar se dekhne wale mujhe dekhte hain, mera aap nahi jaantay. Mujhe wo sub mila jiski maine shiddat se kabhi khuwahish nahi ki, aur wo sub cheen liya gaya jo maine raaton ko uth uth kar maanga.
Maine jab saath chaha, uss nay haath kheench lia. Jab muhabbat se dekha, tab chehra palat lia. Dostee main darguzr ka kaha tau damaan maila kardia. Tumne mujhe akela rehna sikha dia, khud main gum hona bata dia. Tumne mujhe nafrat karna sikha dia.
Tumne mujhe marr kar zinda rehna sikha dia.




K.

1 comments: