Dec 11, 2011

Frostbite

Insaan se ziada khubsurat aur uski fitraat se ziada badsurat cheez dunya main nahi.

Khubsurat yun kay wo Khuda ki takhleeq hai, ek kamil haqeeqat. Jab kay uski fitrat main muhabbat daali gayi hai jo hazaar badsurtiyon ki wajah hai. Muhabbat kam ho tau insaan na-mukammal ehsaas liye phirta hai aur agar ziada hojaye tau………paani per tairti laash ki surat hota hai jo na kay ubharti hai na doobti hai.

Zindagi jumm jati hai…… K-2 ki choti per jami baraf kay jaisi jis k pighalne ka mausam jitna jaldi ata hai utna hi tezi se palat jata hai. Pighlane wale mausam tau guzar kar agay nikal jatay hain per zindagi behte bethte phir se jamne lagti hai.


Abb k palatna tau iss jami hui zindagi per peir rakh kar guzar jana…….yun guzarna kay koi nishaan baqi na rahay………uss doobay hue adh’maray jism ko bhi mat choona…….. iss baar hara’rat jala degi.

0 comments: