Oct 14, 2011

Khwab Kahani

Hum ek khwab ki soorat zindagi guzarne ki koshish main hain. Iss beech main humein bahar se haqeeqat kay kankar aur zamane kay pathar aa kar lagte rehte hain. Hum apni si koshish kar kay apni dunya ko sath sath uthaye chalte hain. Sath chalne main takleef kam aur qurbat ziada hoti hai.

Hum ne sath chalne ki bunyaad hi apni umeedon ko paray kar k rakhi thee. Lekin ye kya kay ab hum umeedon aur mohabbaton kay chungal main phans gaye hain?

Wo dekho…..dekho…..humari dunya main darrar par rahi hai. Hum khuwahishon ki daldal aur aarzo’on kay bhanwar main ghoom rahe hain.

Hum kal nahi jaante per main doobne ki aur kho jane kay andhere jaanti hun. Aur hum jante hain k hum doobna nahi chahte…….. doobna tau marna hai.

Zindagi kay ander hum ne zindagi dhoondi hai.

Dunya main ek dunya banai hai.

Dukhon kay darya se khushi ka chashma phoota hai.

Naseeb ki raat se qismat ki subah-e-nau hui hai.





Hum wapis sath sath chalte hain, pass pass rehte hain.
--------------------------main geet koi kaise gaaon, mere honton per tum hanste ho!!!!

3 comments:

Ali Adnan said...

"main geet koi kaise gaaon, mere honton per tum hanste ho!!!!"

mujhe alfaaz nahi mil rahay is jumlay ki tareef karne k liye :)

Kookee B. said...

Thank you :)

ek buhat qareebi dost ne ek line kahi thee, usse us k agay samajh nahi aa raha tha........tab mere mun se ye jumla nikla.

Khoobsurat haina ??

Ali Adnan said...

bohat khoobsurat jumla hai ... ye waqai aap ne kaha tha ! .. wow !

maine pehle hi kaha hai k mere paas alfaz nhi hain is ki tareef karne k :)