Aug 1, 2011

Mulaqaat

Tum se alag hone kay baad, mujhe laga ab hum kabhi nahi milen gay na hi humare raaste takrayen gay. Lekin main apne dil aur dimagh dono se bekhabar iss khush fehmi ko galay lagaye chalay jarahi thee.......... Aur tab hi...........

Shehar kay shadeed shor main, sarak ki dhool kay paar dekhte hue, janay kahan se tum bijlee ki tarha zehan main koond jatay ho. Roz ek hi raaste se guzarte hue, janay kaise tum barabar main aa kar beth jatay ho aur mujhe aatish geer ankhon se dekhte ho.

Kaam kay bojh talay, mislay nimta’te tum samne aa kharay hote ho ye yaad dilane kay hum aamne samne nahi rahay. Notebook kay safhay palat’te koi tareekh tumhe mere zehan per raqam kar jaati hai. Coffee ka karwa pan, tumhari yaadon kay azaab se kam karwa lagne laga hai.

Shayad main khud ko bhi waisa hi dhoka deti hun, jaisa tum ne diya. Ek khwab main zindagi saath guzar kar ab koi khwaab dekhne ki himmat nahi rahi. Uss khwaab se andhi aankhein sirf tumhe dekh sakti hain.

Main ghalat thee.

Tum se judaa ho kar bhi tum se milnaa mushkil tau nahi.






Written by,
K.

4 comments:

Ali Adnan said...

bohat aala aur khoobsurat :)

kia ye apki apni tehreer hai ? ya phir iqtibaas hai?

Kookee B. said...

Buhat shukria :)

Ye khalisat'an meri apni zaati tehreer hai. I guess I just forgot to sign it with my initial :)

Thanks for dropping a line.

Daanish said...

nice writing,heart break make us write,I wonder what heart union will do!!!

"the brightness of love blind our eyes from shadow of love"

Kookee B. said...

Union doesn't give you time to think much about the beauty of it. It better be spend in unison rather than pouring down the ink; because we will have time for it later.

No union lasts forever :)