Aug 3, 2010

General Knowledge


"Main janti hun tumhe aur mujhe ek dusray k baray main ziada janne ki zarurat tau nahi hai magar phir bhi yun hi aksir ye khayal aata hai kay ab tum kaise ho?

Kya tum aaj bhi Lata k ganay sun kar wo raaten yaad karte ho jab main gaati thee aur tum hans kar kehte they, Lata ki taang torna band karo. Jaante ho us k baad kitne hi roz maine ainay k samne khare ho kar wo gaana gaaya hai. Ab tau aisi aadat pari hai k na chahte hue bhi fursat main wohi gungunati hun.

Tumhe wo nazm yaad hai jo tumne mujh per, mere liye hi likhi thee? wo lafz aaj bhi naye k naye hain aur kal se ziada haseen. Uss kaaghaz ka reshmi-pun kuch alag sa hai, shayad tumhari unglion se aisa hua hoga.

Wo shabnam se bhi ziada saaf shaffaf chehra yaad hai tum ko? Kitne hi din hogaye tumhari nazr nahi pari uss per. Yun lagta hai waqt ki dhool jam gayi ho. Maloom hai wo pankhar’ian bhi sookh gayi hain apni hi zuban ka namak chakh chakh kar.

Kya tum aaj bhi poori poori raat ye soch kar jaagte ho k humare sirhanay khali hain? Aaj tak nahi jaan paayi k aglee subha tum kaise jaan lete they. Ye ek muamma hi reh gaya jo tum se khud bhi na hal ho saka.

Wo lambay lambay khutt yaad hain jinhe dekh kar tum pareshan hote they aur poochte they kaise likh leti ho? Main aaj bhi tumko tumhare hi lafzon main dhoondti hun. Jane wo likhne wala kahan gum gaya.

Yaad hai wo meri pink flowers ki shirt? Unka rung urr chuka hai.

Mujhe ye sub zaroor batana.

Ho sakay tau wapis aajana.  



K.

0 comments: